charchā  har  ek  aan  hai  urdū  zabān  kā
girvīda  kul  jahān  hai  urdū  zabān  kā
is  lashkarī  zabān  kī  azmat  na  pochhiye
azmat  to  ḳhud  nishān  hai  urdū  zabān  kā
gumnāmiyoñ  kī  dhuup  meñ  jaltā  nahīñ  kabhī
jis  sar  pe  sā.ebān  hai  urdū  zabān  kā
mashriq  kā  gulsitāñ  ho  ki  maġhrib  kā  āshiyāñ
vīrān  kab  makān  hai  urdū  zabān  kā
'saudā'  va  'mīr'  va  'ġhālib'  va  'iqbāl'  dekh  lo
har  ek  pāsbān  hai  urdū  zabān  kā
urdū  zabān  meñ  hai  ghulī  shahd  kī  miThās
lahja  bhī  mehrbān  hai  urdū  zabān  kā
tarvīj  de  rahā  hai  jo  urdū  zabān  ko
be  shak  vo  bāġhbān  hai  urdū  zabān  kā
mehmān  kah  rahā  hai''  baḌā  ḳhush-nasīb  hai
jo  shaḳhs  mezbān  hai  urdū  zabān  kā
logo  kahīñ  bhī  is  meñ  pas-o-pesh  kuchh  nahīñ
ik  mo'tarif  jahān  hai  urdū  zabān  kā
bolī  hai  rābte  kī  yahī  joḌtī  hai  dil
har  dil  meñ  aisā  maan  hai  urdū  zabān  kā
vus.at-pazīr  dāman-e-urdu  hai  aaj  bhī
har  gosha  ik  jahān  hai  urdū  zabān  kā
kartā  hai  ābiyārī  lahū  se  adiib  jo
vo  dil  hai  jism-o-jān  hai  urdū  zabān  kā
aa.iiñ  rukāvaTeñ  jo  taraqqī  meñ  is  kī  kuchh
samjho  ye  imtihān  hai  urdū  zabān  kā
pā.egā  jald  manzil-e-maqsūd  bil-yaqīñ
jaarī  jo  kārvān  hai  urdū  zabān  kā
izzat  suḳhanvarān-e-adab  kī  isī  hai
'shā.er'  bhī  tarjumān  hai  urdū  zabān  kā