tujh  ko  ma.alūm  nahīñ  tujh  ko  bhalā  kyā  ma.alūm
tere  chehre  ke  ye  saada  se  achhūte  se  nuqūsh
merī  taḳh.īl  ko  kyā  rañg  atā  karte  haiñ
tere  qāmat  kā  lachaktā  huā  maġhrūr  tanāv
jaise  phūloñ  se  ladī  shāḳh  havā  meñ  lahrā.e
ḳhalvat-e-bazm  ho  yā  jalvat-e-tanhā.ī  ho
terā  paikar  mirī  nazroñ  meñ  ubhar  aatā  hai
chalte  chalte  jo  qadam  aap  ThiThak  jaate  haiñ
sochtā  huuñ  ki  kahīñ  tū  ne  pukārā  to  nahīñ
dhuup  meñ  saaya  bhī  hotā  hai  gurezāñ  jis  dam
terī  zulfeñ  mire  shānoñ  pe  bikhar  jaatī  haiñ
jaane  kyuuñ  tujh  se  dil-e-zār  ko  itnī  hai  lagan
kaisī  kaisī  na  tamannāoñ  kī  tamhīd  hai  tū
apnī  dīvāngi-e-shauq  pe  hañstā  bhī  huuñ  maiñ
aur  phir  apne  ḳhayālāt  meñ  kho  jaatā  huuñ
kis  ko  ma.alūm  mire  ḳhvāboñ  kī  ta.abīr  hai  kyā
kaun  jaane  ki  mire  ġham  kī  haqīqat  kyā  hai
tujh  ko  ma.alūm  nahīñ  tujh  ko  na  hogā  ma.alūm
tere  chehre  ke  ye  saada  se  achhūte  se  nuqūsh
merī  taḳh.īl  ko  kyā  rañg  atā  karte  haiñ