ab  ye  masāfat  kaise  tai  ho  ai  dil  tū  hī  batā
kaTtī  umr  aur  ghaTte  fāsle  phir  bhī  vahī  sahrā
chait  aayā  chetāvanī  bhejī  apnā  vachan  nibhā
patjhaḌ  aa.ī  patr  likhe  aa  jīvan  biit  chalā
ḳhushiyoñ  kā  mukh  chuum  ke  dekhā  duniyā  mān-bharī
dukh  vo  sajan  kaThor  ki  jis  ko  ruuh  kare  sajda
apnā  paikar  apnā  saaya  kaale  kos  kaThin
duurī  kī  jab  sañgat  TuuTī  koī  qarīb  na  thā
apne  gird  ab  apne  aap  meñ  ghultī  soch  bhalī
kis  ke  dost  aur  kaise  dushman  sab  ko  dekh  liyā
kāñch  kī  ik  dīvār  zamāna  āmne-sāmne  ham
nazroñ  se  nazroñ  kā  bandhan  jism  se  jism  judā
rāheñ  dhaḌkīñ  shāḳheñ  kaḌkīñ  ik  ik  Tiis  aTal
kitnī  tez  chalī  hai  ab  ke  dhūl-bharī  havā
dukhḌe  kahte  lākhoñ  mukhḌe  kis  kis  kī  suniye
bolī  to  ik  ik  kī  vaisī  baanī  sab  kī  judā