mez par aḳhbār ke phaile varaq
bikhre bikhre tiira tiira chaak chaak
shaam reading room kī maġhmūm shaam
chand kaan elānchī kī baat par
phir bhī kuchh idrāk meñ aatā nahīñ
kyā hai raqs-e-gardish-e-ayyām kyā
chhat ke nīche rauzanoñ ke darmiyāñ
gol gol āñkhoñ ke andar mahv-e-dīd
kaash ye hairāñ kabūtar jānte
ḳhufta hai un kāġhazoñ kī satah par
ye kabūtar dekhte thakte nahīñ
dekhte haiñ sochte haiñ kyā kareñ