yahīñ  kī  thī  mohabbat  ke  sabaq  kī  ibtidā  maiñ  ne
yahīñ  kī  jur.at-e-iz.hār-e-harf-e-mudda.ā  maiñ  ne
diloñ  meñ  azhdahām-e-ārzū  lab  band  rahte  the
nazar  se  guftugū  hotī  thī  dam  ulfat  kā  bharte  the
vo  kyā  aatā  ki  goyā  daur  meñ  jām-e-sharāb  aatā
vo  kyā  aatā  rañgīlī  rāgnī  rañgīñ  raubāb  aatā
hayā  ke  bojh  se  jab  har  qadam  par  laġhzisheñ  hotīñ
fazā  meñ  muntashir  rañgīñ  badan  kī  larzisheñ  hotīñ
bahe  jaate  the  baiThe  ishq  ke  zarrīñ  safīne  meñ
tamannāoñ  kā  tūfāñ  karvaTeñ  letā  thā  siine  meñ
balā-e-fikr-e-fardā  ham  se  kosoñ  duur  hotī  thī
surūr-e-sarmadī  se  zindagī  ma.amūr  hotī  thī
na  ab  vo  khet  baaqī  haiñ  na  vo  āb-e-ravāñ  baaqī
magar  is  aish-e-rafta  kā  hai  ik  dhundlā  nishāñ  baaqī