nikle  dahān-e-top  se  barbādiyoñ  ke  raag
bāġh-e-jahāñ  meñ  phail  ga.ī  dozaḳhoñ  kī  aag
kyuuñ  TimTimā  rahī  hai  ye  phir  sham-e-zindagī
phir  kyuuñ  nigār-e-haq  pe  haiñ  āsār-e-beogī
ifrīt-e-sīm-o-zar  ke  kaleje  meñ  kyuuñ  hai  phāñs
kyuuñ  ruk  rahī  hai  siine  meñ  tahzīb-e-nau  kī  saañs
amn-o-amāñ  kī  nabz  chhuTTī  jā  rahī  hai  kyūñ?
bālīn-e-zīst  aaj  ajal  gā  rahī  hai  kyūñ?
ab  dilhanoñ  se  chhīn  liyā  jā.egā  suhāg
ab  apne  āñsuoñ  se  bujhā.eñ  vo  dil  kī  aag
barbat-navāz  bazm-e-ulū  idhar  to  aa
dāvat-dah-e-payām-e-ubūdī  idhar  to  aa
insāniyat  ke  ḳhuun  kī  arzāniyāñ  to  dekh
is  kī  āsmān  vaale  kī  be-dādiyāñ  to  dekh
ma.asūma-e-hayāt  kī  bechārgī  to  dekh
dast  havas  se  husn  kī  ġhārat-garī  to  dekh
ḳhud  apnī  zindagī  pe  pashīmāñ  hai  zindagī
qurbān-gāh-e-maut  pe  raqsāñ  hai  zindagī
insān  rah  sake  koī  aisā  jahāñ  bhī  hai
is  fitna-zā  zamīñ  kā  koī  pāsbāñ  bhī  hai
o  āftāb-e-rahmat-e-daurāñ  tulū  ho
o  anjum-e-hamīyat-e-yazdāñ  tulū  ho