ye  kis  paikar  kī  rañgīnī  simaT  kar  dil  meñ  aatī  hai
mirī  be-kaif  tanhā.ī  ko  yuuñ  rañgīñ  banātī  hai
ye  kis  kī  jumbish-e-mizhgāñ  raubāb-e-dil  ko  chhūtī  hai
ye  kis  ke  pairahan  kī  sarsarāhaT  gungunātī  hai
mirī  āñkhoñ  meñ  kis  kī  shoḳhī-e-lab  kā  tasavvur  hai
ki  jis  ke  kaif  se  āñkhoñ  meñ  merī  niiñd  aatī  hai
sukūt  aur  shāñtī  ke  har  qadam  par  phuul  barsātī
asīr-e-kākul-e-shab-gūñ  banā  kar  muskurātī  hai
mirī  āñkhoñ  meñ  ghul  jaatī  hai  vo  kaif-e-nazar  ban  kar
mujhe  qaus-e-quzah  kī  chhāñv  meñ  pahroñ  sulātī  hai
sahar  tak  vo  mujhe  chimTā.e  rakhtī  hai  kaleje  se
dabe  paañv  kiran  ḳhurshīd  kī  aa  kar  jagātī  hai