ek  bosīda  havelī  yaanī  farsūda  samāj
le  rahī  hai  naza.a  ke  aalam  meñ  murdoñ  se  ḳhirāj
ik  musalsal  gard  meñ  Duube  hue  sab  bām-o-dar
jis  taraf  dekho  añdherā  jis  taraf  dekho  khañDar
maar  o  kajdum  ke  Thikāne  jis  kī  dīvāroñ  ke  chaak
uf  ye  raḳhne  kis  qadar  tārīk  kitne  haul-nāk
jin  meñ  rahte  haiñ  mahājan  jin  meñ  baste  haiñ  amiir
jin  meñ  kāshī  ke  barhaman  jin  meñ  ka.abe  ke  faqīr
rahzanoñ  kā  qasr-e-shūrā  qātiloñ  kī  ḳhvāb-gāh
khilkhilāte  haiñ  jarā.em  jagmagāte  haiñ  gunāh
jis  jagah  kaTtā  hai  sar  insāf  kā  īmān  kā
roz  o  shab  nīlām  hotā  hai  jahāñ  insān  kā
ziist  ko  dars-e-ajal  detī  hai  jis  kī  bārgāh
qahqaha  ban  kar  nikaltī  hai  jahāñ  har  ek  aah
sīm-o-zar  kā  devtā  jis  jā  kabhī  sotā  nahīñ
zindagī  kā  bhuul  kar  jis  jā  guzar  hotā  nahīñ
hañs  rahā  hai  zindagī  par  is  tarah  maazī  kā  haal
ḳhanda-zan  ho  jis  tarah  ismat  pe  qahba  kā  jamāl
ek  jānib  haiñ  vahīñ  in  be-navāoñ  ke  giroh
haañ  inhīñ  be-nān  o  be-poshish  gadāoñ  ke  giroh
jin  ke  dil  kuchle  hue  jin  kī  tamannā  pā.emāl
jhāñktā  hai  jin  kī  āñkhoñ  se  jahannam  kā  jalāl
ai  ḳhudā-e-do-jahāñ  ai  vo  jo  har  ik  dil  meñ  hai
dekh  tere  haath  kā  shahkār  kis  manzil  meñ  hai
jāntā  huuñ  maut  kā  ham-sāz  o  hamdam  kaun  hai
kaun  hai  parvardigār-e-bazm-e-mātam  kaun  hai
koḌh  ke  dhabbe  chhupā  saktā  nahīñ  malbūs-e-dīñ
bhuuk  ke  shole  bujh  saktā  nahīñ  rūh-ul-amīñ
ai  javāñ-sāl-e-jahāñ  jān-e-jahān-e-zindagī
sārbān-e-zindagī  rūh-e-ravān-e-zindagī!
jis  ke  ḳhūn-e-garam  se  bazm-e-charāġhāñ  zindagī
jis  ke  firdausī  tanaffus  se  gulistāñ  zindagī
bijliyāñ  jis  kī  kanīzeñ  zalzale  jis  ke  safīr
jis  kā  dil  ḳhaibar-shikan  jis  kī  nazar  arjun  kā  tiir
haañ  vo  naġhma  chheḌ  jis  se  muskurā.e  zindagī
to  bajā-e-sāz-e-ulfat  aur  gaa.e  zindagī
aa  inhīñ  khañDaroñ  pe  āzādī  kā  parcham  khol  deñ
aa  inhīñ  khañDaroñ  pe  āzādī  kā  parcham  khol  deñ