apnī  aur  'qayyūm-rāhī'  kī  maañ  kī  maut  par
sitāre  chup  haiñ  kisī  beva  maañg  kī  mānind
muhīb-o-sarv-o-siyah  haath  baḌhte  jaate  haiñ
khiñche  hue  haiñ  fazāoñ  meñ  ātishīñ  ḳhanjar
havā.eñ  detī  haiñ  dastak  mire  darīchoñ  par
mujhe  ye  Dar  hai  na  bujh  jaa.e  terī  sham-e-hayāt
na  jaane  kyā  mire  allāh  hone  vaalā  hai
muhīb  saaya  añdhere  meñ  thartharātā  hai
ye  kis  ne  bāñhoñ  meñ  ghabrā  ke  bhar  liyā  tujh  ko
ki  jaise  dev  ho  shahzāde  ke  fasānoñ  kā
phir  is  tarah  se  tirā  paikar-e-nahīf  uḌā
ki  jaise  gard  koī  āñdhiyoñ  ke  saath  chale
har  ek  shahr  meñ  tanhā  galī  galī  tanhā
maiñ  phir  rahā  huuñ  tire  ġham  kī  laash  uThā.e  hue