Raza Naqvi Vahi

naya hathi

Raza Naqvi Vahi

Siwan, Bihar, India

1915-2002
shādiyāñ hotī thiiñ jab pahle kisī dehāt meñ
chand hāthī bhī mañgā.e jaate the bārāt meñ
taaki kuchh sārātiyoñ par ro.ab samdhī kā paḌe
aur us ke naam kā atrāf meñ jhanDā gaḌe
hāthiyoñ ko dekh kar atrāf meñ hotī thī dhuum
gher letā thā unheñ ahl-e-tamāshā kā hujūm
un kī ḳhūrish par magar hotī thī ḳharch itnī raqam
sāhab-ḳhāna bichāre kā nikal jaatā thā dam
gāḌiyoñ bargad ke patte ek man puḳhta anaaj
ek hāthī ko milā kartā thā rozāna ḳhirāj
jab adam-ābād kī jānib zamīñ-dārī ga.ī
rafta rafta hāthiyoñ kī garm-bāzārī ga.ī
aur ab un ke evaz har gaañv har dehāt meñ
nā-ḳhudāyān-e-siysāsat jaate haiñ bārāt meñ
āj-kal shobhā baḌhāne ke liye bārāt kī
har lagan meñ maañg hotī hai inhīñ hazrāt kī
un kī aamad se bhī mach jaatī hai chāroñ samt dhuum
gher letā hai unheñ bhī gaañv vāloñ kā hujūm
mezbāñ ke ghar kī raunaq shān-o-shaukat ro.ab-dāb
daf.atan baḌhte haiñ be-pāyāñ o be-hadd-o-hisāb
ek hāthī par jo pahle ḳharch hotī thī raqam
ek netā par vahī hotī hai sarf ab besh-o-kam
farq sirf ye hai ki vo khātā thā gallā ye pulāv
us kā hissa ek man thā in kā hissa tiin paav
us ke aage Tokrā thā in ke aage ḳhās-dān
vo chabā jaatā thā patte ye chabā jaate the paan
pāñch meñ miltā thā pahle ek man galle kā Dher
saiñkaḌoñ kī ab chapat hai murġh-o-māhī-o-baTer
māñgte haiñ da.avat-e-shādī meñ sab har baar murġh
ab hisāb is kā lagā lo ek netā chaar murġh
is tarāzū meñ barābar haiñ vo netā huuñ ki fiil
khāte haiñ jantā kā hissa bhī ye jantā ke vakīl
ḳhvāh netā ho ki hāthī naam bārātī kā hai
al-ġharaz dīvāliya har hālat meñ sārātī kā hai
Top Urdushayar.com