shādiyāñ  hotī  thiiñ  jab  pahle  kisī  dehāt  meñ
chand  hāthī  bhī  mañgā.e  jaate  the  bārāt  meñ
taaki  kuchh  sārātiyoñ  par  ro.ab  samdhī  kā  paḌe
aur  us  ke  naam  kā  atrāf  meñ  jhanDā  gaḌe
hāthiyoñ  ko  dekh  kar  atrāf  meñ  hotī  thī  dhuum
gher  letā  thā  unheñ  ahl-e-tamāshā  kā  hujūm
un  kī  ḳhūrish  par  magar  hotī  thī  ḳharch  itnī  raqam
sāhab-ḳhāna  bichāre  kā  nikal  jaatā  thā  dam
gāḌiyoñ  bargad  ke  patte  ek  man  puḳhta  anaaj
ek  hāthī  ko  milā  kartā  thā  rozāna  ḳhirāj
jab  adam-ābād  kī  jānib  zamīñ-dārī  ga.ī
rafta  rafta  hāthiyoñ  kī  garm-bāzārī  ga.ī
aur  ab  un  ke  evaz  har  gaañv  har  dehāt  meñ
nā-ḳhudāyān-e-siysāsat  jaate  haiñ  bārāt  meñ
āj-kal  shobhā  baḌhāne  ke  liye  bārāt  kī
har  lagan  meñ  maañg  hotī  hai  inhīñ  hazrāt  kī
un  kī  aamad  se  bhī  mach  jaatī  hai  chāroñ  samt  dhuum
gher  letā  hai  unheñ  bhī  gaañv  vāloñ  kā  hujūm
mezbāñ  ke  ghar  kī  raunaq  shān-o-shaukat  ro.ab-dāb
daf.atan  baḌhte  haiñ  be-pāyāñ  o  be-hadd-o-hisāb
ek  hāthī  par  jo  pahle  ḳharch  hotī  thī  raqam
ek  netā  par  vahī  hotī  hai  sarf  ab  besh-o-kam
farq  sirf  ye  hai  ki  vo  khātā  thā  gallā  ye  pulāv
us  kā  hissa  ek  man  thā  in  kā  hissa  tiin  paav
us  ke  aage  Tokrā  thā  in  ke  aage  ḳhās-dān
vo  chabā  jaatā  thā  patte  ye  chabā  jaate  the  paan
pāñch  meñ  miltā  thā  pahle  ek  man  galle  kā  Dher
saiñkaḌoñ  kī  ab  chapat  hai  murġh-o-māhī-o-baTer
māñgte  haiñ  da.avat-e-shādī  meñ  sab  har  baar  murġh
ab  hisāb  is  kā  lagā  lo  ek  netā  chaar  murġh
is  tarāzū  meñ  barābar  haiñ  vo  netā  huuñ  ki  fiil
khāte  haiñ  jantā  kā  hissa  bhī  ye  jantā  ke  vakīl
ḳhvāh  netā  ho  ki  hāthī  naam  bārātī  kā  hai
al-ġharaz  dīvāliya  har  hālat  meñ  sārātī  kā  hai