alassabāh  ki  duniyā  thī  mahv-e-ḳhvāb  abhī
chhupā  thā  hujra-e-mashriq  meñ  āftāb  abhī
ġhunūdgī  meñ  fazā.eñ  thiiñ  sar  jhukā.e  hue
maiñ  jā  rahā  thā  saḌak  par  qadam  baḌhā.e  hue
magar  thā  pesh-e-nazar  ik  muraqqa-e-adbār
dil-e-ġharīb  kī  sūrat  udaas  thā  bāzār
yakāyak  ek  taraf  uTh  ga.ī  jo  merī  nazar
ajab  tarah  kā  nazar  aayā  sāmne  manzar
galī  ke  moḌ  par  ik  aadmī  pareshāñ-hāl
ki  jis  kī  shām-e-javānī  thī  sogvār-e-zavāl
sag-e-gursna  kī  mānind  chāTtā  thā  use
burā  thā  bhuuk  se  kuchh  is  qadar  ġharīb  kā  haal