maiñ  tujhe  phuul  kahūñ  aur  kahūñ  bhañvaroñ  se
aao  us  phuul  kā  ras  chuus  ke  nācho-jhūmo
maiñ  tirī  aañkh  ko  tashbīh  duuñ  maiḳhāne  se
aur  ḳhud  zahr-e-judā.ī  kā  talabgār  rahūñ
mujh  se  ye  tere  qasīde  na  likhe  jā.eñge
mujh  se  tere  liye  ye  ġhazleñ  na  kahī  jā.eñgī
tujh  ko  shahr  kī  zarūrat  hai  mohabbat  kī  mujhe
ai  hasīna  tirī  manzil  mirī  manzil  meñ  nahīñ
dekh  ke  ġhair  ke  pahlū  meñ  tujhe  raqs-kunāñ
bhiig  jaatī  hai  mirī  aañkh  sarishk-e-ġham  se
mujh  ko  bhañvrā  na  samajh  mujh  ko  patañgā  na  samajh
mujh  ko  insān  samajh  merī  sadāqat  se  na  khel