diip  jis  kā  mahallāt  hī  meñ  jale
chand  logoñ  kī  ḳhushiyoñ  ko  le  kar  chale
maiñ  bhī  ḳhā.if  nahīñ  taḳhta-e-dār  se
maiñ  bhī  mansūr  huuñ  kah  do  aġhyār  se
phuul  shāḳhoñ  pe  khilne  lage  tum  kaho
jaam  rindoñ  ko  milne  lage  tum  kaho
tum  ne  luuTā  hai  sadiyoñ  hamārā  sukūñ
ab  na  ham  par  chalegā  tumhārā  fusūñ