Habib Jalib

tere hone se

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
dil kī koñpal harī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
kisht-zāroñ meñ tū kār-ḳhānoñ meñ tū
in zamīnoñ meñ tū āsmānoñ meñ tū
sher meñ nasr meñ dāstānoñ meñ tū
shahr o sahrā meñ tū aur chaTānoñ meñ tū
husn-e-sūrat-garī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
tujh se hai āfrīnash numū irtiqā
tujh se haiñ qāfile rāste rahnumā
tū na hotī to kyā thā chaman kyā sabā
kaise kaTtā safar dard kā yaas kā
aas kī raushnī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
ḳhauf o nafrat kī har had miTāne nikal
aql-o-dānish kī sham.eñ jalāne nikal
zer-dastoñ kī himmat bañdhāne nikal
ham-ḳhayāl aur apne banāne nikal
ab kushā be-kasī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
Top Urdushayar.com