bāzār  hai  vo  ab  tak  jis  meñ  tujhe  nachvāyā
dīvār  hai  vo  ab  tak  jis  meñ  tujhe  chunvāyā
dīvār  ko  aa  toḌeñ  bāzār  ko  aa  Dhā.eñ
insāf  kī  ḳhātir  ham  saḌkoñ  pe  nikal  aa.eñ
taqdīr  ke  qadmoñ  par  sar  rakh  ke  paḌe  rahnā
tā.īd-e-sitamgar  hai  chup  rah  ke  sitam  sahnā
kuTiyā  meñ  tirā  pīchhā  ġhurbat  ne  nahīñ  chhoḌā
aur  mahl-sarā  meñ  bhī  zardār  ne  dil  toḌā
tū  aag  meñ  ai  aurat  zinda  bhī  jalī  barsoñ
sāñche  meñ  har  ik  ġham  ke  chup-chāp  Dhalī  barsoñ