jinheñ  sahar  nigal  ga.ii,  vo  ḳhvāb  DhūñDhtā  huuñ  maiñ
kahāñ  ga.ī  vo  niiñd  kii,  sharāb  DhūñDhtā  huuñ  maiñ
mujhe  namak  kī  kaan  meñ  miThās  kī  talāsh  hai
barahnagī  ke  shahr  meñ  libās  kī  talāsh  hai
jo  ruk  sake  to  rok  do  ye  sail  rañg-o-nūr  kā
mirī  nazar  ko  chāhiye  vahī  charāġh  duur  kā
ye  dhuup  zard  zard  sī  ye  chāñdnī  dhuāñ  dhuāñ
ye  tal.ateñ  bujhī  bujhī,  ye  daaġh  daaġh  kahkashāñ
ye  talḳh  talḳh  rāhateñ,  jarāhateñ  liye  hue
ye  ḳhūñ-chakāñ  latāfateñ  kasāfateñ  liye  hue
jo  marhaloñ  meñ  saath  the  vo  manziloñ  pe  chhuT  ga.e
jo  raat  meñ  luTe  na  the  vo  dopahar  meñ  luT  ga.e
ye  kitne  phuul  TuuT  kar  bikhar  ga.e  ye  kyā  huā
ye  kitne  phuul  shāḳhchoñ  pe  mar  ga.e  ye  kyā  huā
ḳhushā  vo  daur-e-be-ḳhudī  ki  justujū-e-yār  thī
jo  dard  meñ  surūr  thā  to  be-kalī  qarār  thī
ḳhulūs-e-be-shu.ūr  kī  vo  zūd-etabāriyāñ
vo  shauq-e-sāda-lauh  kī  hasīn  ḳhām-kāriyāñ
vo  la.al  o  lab  ke  tazkire,  vo  zulf  o  ruḳh  ke  zamzame
vo  kārobār-e-ārzū  vo  valvale,  vo  hamhame
na  ishq  bā-adab  rahā,  na  husn  meñ  hayā  rahī
havas  kī  dhūm-dhām  hai,  nagar  nagar,  galī  galī
bahut  dinoñ  meñ  rāsta  harīm-e-nāz  kā  milā
magar  harīm-e-nāz  tak  pahuñch  ga.e  to  kyā  milā