Raja Mehdi Ali Khan

adib ki mahbuba

Raja Mehdi Ali Khan

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1915-1996
tumhārī ulfat meñ harmonium pe 'mīr' kī ġhazleñ gā rahā huuñ
bahattar in meñ chhupe haiñ nashtar jo sab ke sab aazmā rahā huuñ
bahut dinoñ se tumhāre jalve 'ḳhadīja-mastūr' ho ga.e haiñ
hai shukr-e-bārī ki sāmne apne aaj phir tum ko pā rahā huuñ
lihāf 'ismat' kā oḌh kar tum fasāne 'manTo' ke paḌh rahī ho
pahan ke 'bedī' kā garm coat aaj tum se āñkheñ milā rahā huuñ
tumhāre ghar 'nūn-mīm-rāshid' kā le ke aayā sifārshī ḳhat
magar ta.ajjub hai phir bhī tum se nahīñ maiñ kuchh 'faiz' pā rahā huuñ
bahut hai sīdhī sī baat merī na jaane tum kyuuñ nahīñ samajhtīñ
qasam ḳhudā kī kalām-e-'ġhālib' nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ
tumhārī zulf-e-siyah pe tanqīd kis se likhvāūñ tum hī bolo
'shrī-ibādat-barelvī' ko maiñ taar de kar bulā rahā huuñ
maiñ tum pe huuñ 'jāñ-nisār-aḳhtar' qasam hai 'munshī-fidā-alī' kī
bahut dinoñ se maiñ tum pe 'sāhir' se jaadū Tone karā rahā huuñ
agar ho tum 'hājara' to phir mujh se mil ke 'masrūr' kyuuñ nahīñ ho
tumhāre aage 'opendr-nāth-ashk' ban ke aañsū bahā rahā huuñ
hasīñ ho zehra-jamāl ho tum mujhe satā kar nihāl ho tum
tumhāre ye zulm 'qurrat-ul-ain' ko batāne maiñ jā rahā huuñ
mirī mohabbat kī dāstāñ sun ke ro paḌe 'josh-malsiyānī'
sukhā ke pañkhe se un ke aañsū abhī vahāñ se maiñ aa rahā huuñ
mirī tabāhī pe chhāp deñge nuqūsh kā ek ḳhaas number
'tufail-sāhab' ke paas saare musavvade le ke jā rahā huuñ
'vazīr-āġhā' paThān haiñ saath saath yāroñ ke yaar bhī haiñ
pakaḌ ke vo tum ko piiT deñge maiñ kal unheñ saath lā rahā huuñ
'hakīm-yūsuf-alī' ne jab merī nabz dekhī to ro ke bole
'jigar' hai zaḳhmī tabāh gurde ye baat tum se chhupā rahā huuñ
malīhābād aaj jā rahā huuñ maiñ 'josh' lā.ūñ ki aam lā.ūñ
haiñ donoñ chīzeñ vahāñ kī achchhī maiñ lā.ūñ kyā tilmilā rahā huuñ
jo hukm do 'vājida-tabassum' kā kuchh tabassum maiñ tum ko lā duuñ
tumhāre hoñToñ pe ġham kī maujoñ ko dekh kar tilmilā rahā huuñ
fasāna-e-ishq muḳhtasar hai qasam ḳhudā kī na bor honā
'firāq-gorakhpurī' kī ġhazleñ nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ
mirī mohabbat kī dāstāñ ko gad.he kī mat sarguzisht samjho
maiñ 'kirshn-chandr' nahīñ huuñ zālim yaqīn tum ko dilā rahā huuñ
pilāo āñkhoñ se taaki mujh ko kuchh 'āl-e-ahmad-surūr' aa.e
bahut haiñ ġham mujh ko āshiqī ke binā piye Dagmagā rahā huuñ
Top Urdushayar.com