Raja Mehdi Ali Khan

adib ki mahbuba

Raja Mehdi Ali Khan

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1915-1996

tumhārī ulfat meñ harmonium pe 'mīr' ġhazleñ rahā huuñ

bahattar in meñ chhupe haiñ nashtar jo sab ke sab aazmā rahā huuñ

bahut dinoñ se tumhāre jalve 'ḳhadīja-mastūr' ho ga.e haiñ

hai shukr-e-bārī ki sāmne apne aaj phir tum ko rahā huuñ

lihāf 'ismat' oḌh kar tum fasāne 'manTo' ke paḌh rahī ho

pahan ke 'bedī' garm coat aaj tum se āñkheñ milā rahā huuñ

tumhāre ghar 'nūn-mīm-rāshid' le ke aayā sifārshī ḳhat

magar ta.ajjub hai phir bhī tum se nahīñ maiñ kuchh 'faiz' rahā huuñ

bahut hai sīdhī baat merī na jaane tum kyuuñ nahīñ samajhtīñ

qasam ḳhudā kalām-e-'ġhālib' nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ

tumhārī zulf-e-siyah pe tanqīd kis se likhvāūñ tum bolo

'shrī-ibādat-barelvī' ko maiñ taar de kar bulā rahā huuñ

maiñ tum pe huuñ 'jāñ-nisār-aḳhtar' qasam hai 'munshī-fidā-alī'

bahut dinoñ se maiñ tum pe 'sāhir' se jaadū Tone karā rahā huuñ

agar ho tum 'hājara' to phir mujh se mil ke 'masrūr' kyuuñ nahīñ ho

tumhāre aage 'opendr-nāth-ashk' ban ke aañsū bahā rahā huuñ

hasīñ ho zehra-jamāl ho tum mujhe satā kar nihāl ho tum

tumhāre ye zulm 'qurrat-ul-ain' ko batāne maiñ rahā huuñ

mirī mohabbat dāstāñ sun ke ro paḌe 'josh-malsiyānī'

sukhā ke pañkhe se un ke aañsū abhī vahāñ se maiñ aa rahā huuñ

mirī tabāhī pe chhāp deñge nuqūsh ek ḳhaas number

'tufail-sāhab' ke paas saare musavvade le ke rahā huuñ

'vazīr-āġhā' paThān haiñ saath saath yāroñ ke yaar bhī haiñ

pakaḌ ke vo tum ko piiT deñge maiñ kal unheñ saath rahā huuñ

'hakīm-yūsuf-alī' ne jab merī nabz dekhī to ro ke bole

'jigar' hai zaḳhmī tabāh gurde ye baat tum se chhupā rahā huuñ

malīhābād aaj rahā huuñ maiñ 'josh' lā.ūñ ki aam lā.ūñ

haiñ donoñ chīzeñ vahāñ achchhī maiñ lā.ūñ kyā tilmilā rahā huuñ

jo hukm do 'vājida-tabassum' kuchh tabassum maiñ tum ko duuñ

tumhāre hoñToñ pe ġham maujoñ ko dekh kar tilmilā rahā huuñ

fasāna-e-ishq muḳhtasar hai qasam ḳhudā na bor honā

'firāq-gorakhpurī' ġhazleñ nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ

mirī mohabbat dāstāñ ko gad.he mat sarguzisht samjho

maiñ 'kirshn-chandr' nahīñ huuñ zālim yaqīn tum ko dilā rahā huuñ

pilāo āñkhoñ se taaki mujh ko kuchh 'āl-e-ahmad-surūr' aa.e

bahut haiñ ġham mujh ko āshiqī ke binā piye Dagmagā rahā huuñ

Top Urdushayar.com