Izhaar Malihabadi

aurat ki taKHliq

Izhaar Malihabadi

ġhuncha-o-gul kī nik.hat churā.ī ga.ī
bijliyoñ kī harārat churā.ī ga.ī
gulistāñ kī havāoñ ko dhunkā gayā
bulbuloñ kī sadāoñ ko dhunkā gayā
barf ko barq pāroñ ko piisā gayā
abr ko chāñd tāroñ ko piisā gayā
kohsār-o-gulistāñ tarāshe ga.e
lāl-o-yāqūt-o-marjāñ tarāshe ga.e
chāñdnī-rāt kā husn chhīnā gayā
kahkashāñ ke piyāle meñ gūñdhā gayā
zindagānī ke ruḳhsār dho.e ga.e
shādmānī ke motī piro.e ga.e
āhanī shāhrāheñ galā.ī ga.iiñ
shabnamī shāhrāheñ bichā.ī ga.iiñ
māh-e-nau kī shuāoñ ko chhānā gayā
āsmānoñ zamīnoñ ko dhoyā gayā
zamzamoñ ke samundar ḳhañghāle ga.e
ārzūoñ ke motī nikāle ga.e
dil-navāzī kā jazba ubhārā gayā
naujavānī kā chehra nikhārā gayā
shāḳh-e-gul kī nazākat ubālī ga.ī
narm bāñhoñ ke sāñche meñ Dhālī ga.ī
aur phir sab ko ik jā milāyā gayā
gūñdh kar ek putlā banāyā gayā
muddatoñ chāñd-tāroñ meñ paalā gayā
phir vo aurat ke sāñche meñ Dhālā gayā
har kalī baaġh meñ raqs karne lagī
zehn meñ koī sūrat ubharne lagī
ek āvāz aa.ī ki aurat huuñ maiñ
barq huuñ zalzala huuñ qayāmat huuñ maiñ
sun ke āvāz sajde meñ sab jhuk ga.e
āñdhiyāñ tham ga.iiñ zalzale ruk ga.e
chūḌiyāñ sī havā meñ khanakne lagīñ
chhāgaleñ sī fazā meñ chhanakne lagīñ
shiddat-e-shauq se aag paanī huī
kohsāroñ kī poshāk dhānī huī
narm shāḳheñ chaman meñ lachakne lagīñ
ārzūoñ kī kaliyāñ chaTakne lagīñ
phir vo āvāz ghuñghaT se aane lagī
shiddat-e-shauq ko āzmāne lagī
aur ghuñghaT jo ruḳh se sarakne lagā
aadmī kyā ḳhudā bhī bahakne lagā
zulf bikhrī to shab kā añdherā huā
muskurā.ī to pahlā saverā huā
aañkh bikhrī to shab kā añdherā huā
muskurā.ī to pahlā saverā huā
aañkh uThā.ī to motī se barsā ga.ī
saañs lī to har ik shai meñ jaan aa ga.ī
barbat-e-ġham se naġhme nikalne lage
zindagānī ke chashme ubalne lage
ishq ne baḌh ke qadmoñ pe sajda kiyā
dahr kī samt use phir ravāna kiyā
Top Urdushayar.com