Rashid Anwar Rashid

teri aawaz

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
raah meñ chalte hue bhiiḌ se uktā.e hue
terī āvāz sunī maiñ ne ka.ī saal ke ba.ad
soch kar zehn pareshān rahā der talak
shahr ke shor-e-ḳhurāfāt ke hañgāmoñ meñ
terī āvāz jo aa.ī to kahāñ se aa.ī
phir kisī vahm ke narġhe meñ to maiñ aa na gayā
terī āvāz kā sargam kahīñ dhokā to nahīñ
der tak zehn savālāt meñ uljhā hī rahā
koī ummīd na jis baat kī thī kaise huī
kaise pathrā.ī huī aañkh meñ aañsū aa.e
kaise phir bhūlā huā qissa tujhe yaad aayā
raah meñ chalte hue bhiiḌ se uktā.e hue
terī āvāz sunī maiñ ne ka.ī saal ke ba.ad
terī āvāz kā dhokā hai agar vahm mirā
mujh ko rahnā hai isī vahm kī sarshārī meñ
terī āvāz ke dhoke se ye mahsūs huā
koī ḳhvāhish ho tamannā ho bahaktī hai zarūr
ab bhī siine meñ koī chiiz dhaḌaktī hai zarūr
Top Urdushayar.com