aqallīyat  kahīñ  kī  ho  tah-e-ḳhanjar  hī  rahtī  hai
halākat-ḳhez  hāthoñ  ke  hazāroñ  jabr  sahtī  hai
na  koī  ḳhvāb  āñkhoñ  meñ  na  dil  meñ  aasrā  koī
na  jū-e-ḳhūñ  se  bachne  kā  nazar  meñ  rāsta  koī
ḳhud  apnī  hī  fazā  meñ  ḳhauf  kā  ehsās  har  lamha
adam-mahfūziyat  kā  duur  tak  ġhamnāk  sannāTā
haqārat  kī  nazar  nafrat  kī  chiñgārī  ta.āqub  meñ
musībat  aage  aage  zillat-o-ḳhvārī  ta.āqub  meñ
zabāñ  ma.atūb  tahzīb-o-saqāfat  daar  kī  zad  meñ
ghar  āñgan  izzat-o-nāmūs  kul  talvār  kī  zad  meñ
aqallīyat  jahāñ  bhī  hai  yahī  us  kā  muqaddar  hai
ye  zaḳhmī  be-amāñ  maḳhlūq  har  sū  zer-e-ḳhanjar  hai