ye  eden  garden  hamdam  nigāh-o-dil  kī  jannat  hai
yahāñ  havvā  kī  rañgīñ  beTiyāñ  har  shaam  aatī  haiñ
suhāgan  hai  to  us  kī  maañg  meñ  jhūmar  chamaktā  hai
kuñvārī  hai  to  us  ke  jism  se  ḳhushbū  nikaltī  hai
kahīñ  joḌe  meñ  koī  phuul  gūñdhe  koī  laT  khole
fazā-e-sāhil-e-huglī  meñ  rañg-o-nūr  bhartī  hai
sunahrī  bāliyāñ  shoḳhī  se  ruḳhsāroñ  ko  taktī  haiñ
khanaktī  chūḌiyāñ  gītoñ  kī  mīThī  dhun  sunātī  haiñ
ye  bañgālī  hasīnāoñ  kī  jalva-gāh  hai  hamdam
yahāñ  pīr-o-javāñ  aa  kar  matā-e-dil  luTāte  haiñ
Thahar  ai  jazba-e-be-tāb  isī  rañgīn  duniyā  meñ
laboñ  kī  surḳh  mai  se  dil  ke  ḳhālī  jaam  ko  bhar  leñ