Azeemuddin Ahmad

waqt

Azeemuddin Ahmad

Gaya, Bihar, India

1882
hai sāl-e-nau kī aamad har shaḳhs kī ḳhushī hai
kyā rañg lā.egā ye is kī nahīñ ḳhabar kuchh
aalam kā lahza lahza meñ haal kyā se kyā hai
muflis abhī thā koī masnad-nashīñ abhī hai
kahnā kisī ghaḌī ko apnā ġhalat sarāsar
aalam jise haiñ kahte taġh.īr kā hai maskan
the ḳhār-zār jis jā hai bulbuloñ kā maskan
allāh kis ġhazab ke har aan haiñ ye phere
Top Urdushayar.com