ghar  kā  ek  akelā  bachcha
nanhā-munnā  taasī  raaja
apne  aap  hī  baiThā  khele
aap  hī  hañs  le  aap  hī  role
paapā  bhī  haiñ  aur  mammy  bhī
lekin  unheñ  nahīñ  hai  chhuTTī
us  ke  uThne  se  pahle  hī
paapā  jaate  haiñ  taḌke  hī
aur  mammy  us  ko  nahlā  ke
khānā-dānā  use  khilā  ke
apne  kaam  meñ  juT  jaatī  haiñ
us  ke  haath  kahāñ  aatī  haiñ
ab  vo  aur  bas  us  ke  khilaune
tanhā  tanhā  kitnā  khele
us  kī  dost  huā  kartī  thiiñ
kuchh  din  pahle  ik  daadī  thiiñ
jaane  kahāñ  jā  baiTh  ga.ī  haiñ
pote  se  kyoñ  aiñTh  ga.ī  haiñ
dil  hī  dil  meñ  nanhā  taasī
kartā  rahtā  daadī  daadī
ik  din  paapā  jaldī  aa  ke
shopping  karne  ko  jaate  the
bhāgtā  aayā  taasī  bolā
mujh  ko  bhī  kuchh  chāhiye  paapā
paapā  bole  kyā  kuchh  bolo
kahne  lagā  ik  daadī  lā  do