Bilqis Zafirul Hasan

lakhon mein ek monTu

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
mammy ḳhafā haiñ un kī suntā nahīñ hai monTū
paapā ko hai shikāyat paḌhtā nahīñ hai monTū
aur monTū miyāñ ab hairān se khaḌe haiñ
sun sun ke DaañT un ke to kaan pak ga.e haiñ
ho phantom ki Tan Tan yā tarzan ke qisse
kyā kyā nahīñ paḌhā hai kyā kyā nahīñ vo paḌhte
aur is pe ye shikāyat paḌhtā nahīñ hai kuchh bhī
paḌhnā nahīñ to kyā hai had hai zyādtī kī
kam aa.e haiñ jo number aisā bhī kyā huā hai
har baar aao avval ye kis jagah likhā hai
apnī taraf se parcha likhā thā Thiik yuuñ to
examiner se shāyad kuchh bhuul ho ga.ī ho
itnā bhī kyā bigaḌnā kyā fail ho ga.e haiñ
is imtihān se aage sau imtihāñ paḌe haiñ
kyā monTū miyāñ haiñ sab log dekh leñge
har imtihāñ meñ avval ab aa ke ham raheñge
mammy saheliyoñ meñ bāñTeñgī tab miThā.ī
jo aaj DāñTte haiñ deñge vo kal badhā.ī
ḳhush ho ke ek ik se kahte phireñge paapā
ye apnā monTū to lākhoñ meñ ek niklā
Top Urdushayar.com