phir  aan  ke  ishrat  kā  machā  Dhañg  zamīñ  par
aur  aish  ne  arsa  hai  kiyā  tañg  zamīñ  par
ghuñgrū  kī  paḌī  aan  ke  phir  kaan  meñ  jhankār
sārañgī  huī  biin  tambūroñ  kī  madad-gār
mastī  meñ  uThā  aañkh  jidhar  dekho  ahāhā
nāche  hai  tavā.if  kahīñ  maTke  hai  bhavayya
bhāge  hai  kahīñ  rañg  kisī  par  jo  koī  Daal
vo  poTlī  maare  hai  use  dauḌ  ke  filhāl
baiThe  haiñ  sab  aapas  meñ  nahīñ  ek  bhī  kaḌvā
pichkārī  uThā  kar  koī  jhamkāve  hai  khaḌvā
holī  kī  'nazīr'  ab  jo  bahāreñ  haiñ  ahāhā
mahbūb  rañgīloñ  kī  qatāreñ  haiñ  ahāhā