Nazeer Akbarabadi

saman diwali ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
har ik makāñ meñ jalā phir diyā divālī kā
har ik taraf ko ujālā huā divālī kā
jahāñ meñ yaaro ajab tarah kā hai ye tyauhār
kisī ne naqd liyā aur koī kare hai udhār
miThā.iyoñ kī dukāneñ lagā ke halvā.ī
pukārte haiñ ki ''lā laa! divālī hai ā.ī''
siraf harām kī kauḌī kā jin kā hai bevpār
unhoñ ne khāyā hai is din ke vāste hai udhār
makān lep ke Thaliyā jo korī rakhavā.ī
jalā charāġh ko kauḌī vo jald jhankā.ī
shagun kī baazī lagī pahle yaar ganDe kī
phir us se baḌh ke lagī tiin chaar ganDe kī
kisī ne ghar kī havelī giro rakhā haarī
jo kuchh thī jins mayassar banā banā haarī
kisī ko daav pe lānakkī muuTh ne maarā
kisī ke ghar pe dharā soḳhta ne añgārā
kisī kī jorū kahe hai pukār ai phaḌve
bahū kī naughre beTe ke haath ke khaḌve
vo us ke jhoñTe pakaḌ kar kahe hai māruñgā
tirā jo gahna hai sab taar taar utārūñgā
tujhe ḳhabar nahīñ ḳhandī ye lat vo pyārī hai
kisī zamāne meñ aage huā jo jvārī hai
jahāñ meñ ye jo dīvālī kī sair hotī hai
to zar se hotī hai aur zar baġhair hotī hai
ye bāteñ sach haiñ na jhuuT un ko jāniyo yāro!
nasīhateñ haiñ unheñ dil se māniyo yāro!
Top Urdushayar.com