har  ik  makāñ  meñ  jalā  phir  diyā  divālī  kā
har  ik  taraf  ko  ujālā  huā  divālī  kā
jahāñ  meñ  yaaro  ajab  tarah  kā  hai  ye  tyauhār
kisī  ne  naqd  liyā  aur  koī  kare  hai  udhār
miThā.iyoñ  kī  dukāneñ  lagā  ke  halvā.ī
pukārte  haiñ  ki  ''lā  laa!  divālī  hai  ā.ī''
siraf  harām  kī  kauḌī  kā  jin  kā  hai  bevpār
unhoñ  ne  khāyā  hai  is  din  ke  vāste  hai  udhār
makān  lep  ke  Thaliyā  jo  korī  rakhavā.ī
jalā  charāġh  ko  kauḌī  vo  jald  jhankā.ī
shagun  kī  baazī  lagī  pahle  yaar  ganDe  kī
phir  us  se  baḌh  ke  lagī  tiin  chaar  ganDe  kī
kisī  ne  ghar  kī  havelī  giro  rakhā  haarī
jo  kuchh  thī  jins  mayassar  banā  banā  haarī
kisī  ko  daav  pe  lānakkī  muuTh  ne  maarā
kisī  ke  ghar  pe  dharā  soḳhta  ne  añgārā
kisī  kī  jorū  kahe  hai  pukār  ai  phaḌve
bahū  kī  naughre  beTe  ke  haath  ke  khaḌve
vo  us  ke  jhoñTe  pakaḌ  kar  kahe  hai  māruñgā
tirā  jo  gahna  hai  sab  taar  taar  utārūñgā
tujhe  ḳhabar  nahīñ  ḳhandī  ye  lat  vo  pyārī  hai
kisī  zamāne  meñ  aage  huā  jo  jvārī  hai
jahāñ  meñ  ye  jo  dīvālī  kī  sair  hotī  hai
to  zar  se  hotī  hai  aur  zar  baġhair  hotī  hai
ye  bāteñ  sach  haiñ  na  jhuuT  un  ko  jāniyo  yāro!
nasīhateñ  haiñ  unheñ  dil  se  māniyo  yāro!