haiñ  is  havā  meñ  kyā  kyā  barsāt  kī  bahāreñ
sabzoñ  kī  lahlahāhaT  bāġhāt  kī  bahāreñ
bādal  havā  ke  uupar  ho  mast  chhā  rahe  haiñ
jhaḌiyoñ  kī  mastiyoñ  se  dhūmeñ  machā  rahe  haiñ
maare  haiñ  mauj  Dābar  dariyā  dauñD  rahe  haiñ
mor-o-papīhe  koyal  kyā  kyā  rumañD  rahe  haiñ
jañgal  sab  apne  tan  par  hariyālī  saj  rahe  haiñ
gul  phuul  jhāḌ-būTe  kar  apnī  dhaj  rahe  haiñ
bādal  lagā  Takoreñ  naubat  kī  gat  lagāveñ
jheñgur  jhañgār  apnī  surnā.iyañ  bajāveñ
har  jā  bichhā  rahā  hai  sabza  hare  bichhaune
qudrat  ke  bichh  rahe  haiñ  har  jā  hare  bichhaune
sabzoñ  kī  lahlahāhaT  kuchh  abr  kī  siyāhī
aur  chhā  rahī  ghaTā.eñ  surḳh  aur  safed  kaahī
kyā  kyā  rakhe  haiñ  yārab  sāmān  terī  qudrat
badle  hai  rañg  kyā  kyā  har  aan  terī  qudrat
koyal  kī  kuuk  meñ  bhī  terā  hī  naam  haigā
aur  mor  kī  zaTal  meñ  terā  payām  haigā
bolīñ  ba.e  baTereñ  qumrī  pukāre  kū-kū
pī  pī  kare  papīhā  bagule  pukāreñ  tū-tū
jo  mast  hoñ  idhar  ke  kar  shor  nāchte  haiñ
pyāre  kā  naam  le  kar  kyā  zor  nāchte  haiñ
phūloñ  kī  sej  uupar  sote  haiñ  kitne  ban-ban
so  haiñ  gulābī  joḌe  phūloñ  ke  haar  abran
jo  ḳhush  haiñ  vo  ḳhushī  meñ  kaaTe  haiñ  raat  saarī
jo  ġham  meñ  haiñ  unhoñ  par  guzre  hai  raat  bhārī
jo  vasl  meñ  haiñ  un  ke  juuḌe  mahak  rahe  haiñ
jhūloñ  meñ  jhūlte  haiñ  gahne  jhamak  rahe  haiñ
ab  birhanoñ  ke  uupar  hai  saḳht  be-qarārī
har  buuñd  mārtī  hai  siine  upar  kaTārī
jab  koyal  apnī  un  ko  āvāz  hai  sunātī
sunte  hī  ġham  ko  maare  chhātī  hai  umñDī  aatī
hai  jin  kī  sej  suunī  aur  ḳhālī  chārpā.ī
ro  ro  unhoñ  ne  har-dam  ye  baat  hai  sunā.ī
kitnoñ  ne  apnī  ġham  se  ab  hai  ye  gat  banā.ī
maile  kuchaile  kapḌe  āñkheñ  bhī  DabDabā.ī
gaatī  hai  giit  koī  jhūle  pe  kar  ke  pherā
maaro  jī  aaj  kījiye  yaañ  rain  kā  baserā
aur  jin  ko  ab  muhayyā  husnoñ  kī  Dheriyāñ  haiñ
surḳh  aur  sunahre  kapḌe  ishrat  kī  gheriyāñ  haiñ
kitne  to  bhañg  pī  pī  kapḌe  bhigo  rahe  haiñ
bāheñ  guloñ  meñ  Daale  jhūloñ  meñ  so  rahe  haiñ
baiThe  haiñ  kitne  ḳhush  ho  ūñche  chhuā  ke  bangle
piite  haiñ  mai  ke  pyāle  aur  dekhte  haiñ  jañgle
kitnoñ  ko  mahloñ  andar  hai  aish  kā  nazārā
yā  sā.ebān  suthrā  yā  baañs  kā  usārā
chhat  girne  kā  kisī  jā  ġhul  shor  ho  rahā  hai
dīvār  kā  bhī  dhaḌkā  kuchh  hosh  kho  rahā  hai
muddat  se  ho  rahā  hai  jin  kā  makāñ  purānā
uTh  ke  hai  un  ko  meñh  meñ  har  aan  chhat  pe  jaanā
koī  pukārtā  hai  lo  ye  makān  Tapkā
girtī  hai  chhat  kī  miTTī  aur  sā.ebān  Tapkā
ūñchā  makān  jis  kā  hai  pach  khanā  sivāyā
uupar  kā  khan  Tapak  kar  jab  paanī  nīche  aayā
sabzoñ  pe  biir  bhūTī  Tīloñ  upar  dhatūrē
pissū  se  machchharoñ  se  ro.e  koī  basore
phuñsī  kisī  ke  tan  meñ  sar  par  kisī  ke  phoḌe
chhātī  ye  garmī  daane  aur  piiTh  meñ  daroḌe
patlī  jahāñ  kisī  ne  daal  aur  kaḌhī  pakā.ī
makkhī  ne  vohīñ  bolī  aa  uuñT  kī  bulā.ī
jis  gul-badan  ke  tan  meñ  poshāk  sausanī  hai
so  vo  parī  to  ḳhāsī  kālī-ghaTā  banī  hai
badanoñ  meñ  khab  rahe  haiñ  ḳhūboñ  ke  laal  joḌe
jhamkeñ  dikhā  rahe  haiñ  pariyoñ  ke  laal  joḌe
aur  jis  sanam  ke  tan  meñ  joḌā  hai  zāfrānī
gulnār  yā  gulābī  yā  zard  surḳh  dhānī
koī  to  jhūlne  meñ  jhūle  kī  Dor  chhoḌe
yā  sāthiyoñ  meñ  apne  paañv  se  paañv  joḌe
kitnoñ  ko  ho  rahī  hai  us  aish  kī  nishānī
sote  haiñ  saath  jis  ke  kahtī  hai  vo  siyānī
kitne  sharāb  pī  kar  ho  mast  chhak  rahe  haiñ
mai  kī  gulābī  aage  pyāle  chhalak  rahe  haiñ
haiñ  jin  ke  tan  mulā.em  maide  kī  jaise  loī
vo  is  havā  meñ  ḳhāsī  oḌhe  phire  haiñ  loī
kitne  phire  haiñ  oḌhe  paanī  meñ  surḳh  paTTū
jo  dekh  surḳh  badlī  hotī  hai  un  pe  laTTū
jo  is  havā  meñ  yaaro  daulat  meñ  kuchh  baḌhe  haiñ
hai  un  ke  sar  pe  chhatrī  hāthī  pe  vo  chaḌhe  haiñ
hai  jin  kane  muhayyā  pakkā  pakāyā  khānā
un  ko  palañg  pe  baiThe  jhaḌiyoñ  kā  ḳhat  uḌānā
kitne  ḳhushī  se  baiThe  khāte  haiñ  ḳhush  mahal  meñ
kitne  chale  haiñ  lene  baniye  se  qarz  pal  meñ
jo  kasbiyāñ  javāneñ  husnoñ  meñ  purtiyāñ  haiñ
sīnoñ  meñ  laal  añgiyāñ  aur  laal  kurtiyāñ  haiñ