jab  phāgun  rañg  jhamakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
aur  daf  ke  shor  khaḌakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
mahbūb  nashe  meñ  chakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
ho  naach  rañgīlī  pariyoñ  kā  baiThe  hoñ  gul-rū  rañg-bhare
kuchh  bhīgī  tāneñ  holī  kī  kuchh  nāz-o-adā  ke  Dhañg-bhare
kuchh  ghuñghrū  taal  chhanakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
sāmān  jahāñ  tak  hotā  hai  us  ishrat  ke  matlūboñ  kā
vo  sab  sāmān  muhayyā  ho  aur  baaġh  khilā  ho  ḳhvāboñ  kā
kapḌoñ  par  rañg  chhiḌakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
gulzār  khile  hoñ  pariyoñ  ke  aur  majlis  kī  tayyārī  ho
kapḌoñ  par  rañg  ke  chhīñToñ  se  ḳhush-rañg  ajab  gul-kārī  ho
sīnoñ  se  rañg  Dhalakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
us  rañg-rañgīlī  majlis  meñ  vo  ranDī  nāchne  vaalī  ho
muñh  jis  kā  chāñd  kā  TukḌā  ho  aur  aañkh  bhī  mai  ke  pyālī  ho
bhaḌve  bhii,  bhaḌvā  bakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
aur  ek  taraf  dil  lene  ko  mahbūb  bhavayyoñ  ke  laḌke
har  aan  ghaḌī  gat  bharte  hoñ  kuchh  ghaT  ghaT  ke  kuchh  baḌh  baḌh  ke
kuchh  kāfir  nain  maTakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī
ye  dhuum  machī  ho  holī  kī  aur  aish  maze  kā  jhakkaḌ  ho
us  khīñchā-khīñch  ghasīTī  par  bhaḌve  ranDī  kā  phakkaḌ  ho
jab  aise  aish  mahakte  hoñ  tab  dekh  bahāreñ  holī  kī