chalī  aatī  hai  ab  to  har  kahīñ  bāzār  kī  rākhī
sunahrī  sabz  resham  zard  aur  gulnār  kī  rākhī
ayaañ  hai  ab  to  rākhī  bhī  chaman  bhī  gul  bhī  shabnam  bhī
jhamak  jaatā  hai  motī  aur  jhalak  jaatā  hai  resham  bhī
machī  hai  har  taraf  kyā  kyā  salonoñ  kī  bahār  ab  to
har  ik  gul-rū  phire  hai  rākhī  bāñdhe  haath  meñ  ḳhush  ho
huī  hai  zeb-o-zīnat  aur  ḳhūbāñ  ko  to  rākhī  se
va-lekin  tum  se  ai  jaañ  aur  kuchh  rākhī  ke  gul  phūle
adā  se  haath  uThte  haiñ  gul-e-rākhī  jo  hilte  haiñ
kaleje  dekhne  vāloñ  ke  kyā  kyā  aah  chhilte  haiñ
phireñ  haiñ  rākhiyāñ  bāñdhe  jo  har  dam  husn  ke  taare
to  un  kī  rākhiyoñ  ko  dekh  ai  jaañ  chaav  ke  maare