Masud Husain Khan

hind ki ye shab-e-mahtab

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010

aaj bhī tere liye sozish-e-ġham kam to nahīñ

zaḳhm-e-dil par tire hamdam koī marham to nahīñ

jo phūloñ tarah phuul kar itrātā hai

dekhnā yaar tire jaam meñ shabnam to nahīñ

hind ye shab-e-mahtāb bahut ḳhuub sahī

qalb-e-anjum magar dard abhī kam to nahīñ

chāñdnī-rāt ke va.ade bhī vafā hote haiñ

ai ġham-e-dil ye sabab lā.eq-e-mātam to nahīñ

tishna-kāmī mujhe majbūr to kartī hai magar

tere sāġhar se jhijaktā huuñ kahīñ ham to nahīñ

ne āsūdagī-e-shauq se khāyā hai fareb

qalb-e-shā.ir meñ jo dhaḌkan hai vo maddham to nahīñ

aaj 'mas.ūd' palkoñ pe diye haiñ raushan

sāthiyo un ke sitāroñ se magar kam to nahīñ

Top Urdushayar.com