Masud Husain Khan

wadi-e-gul

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010
diid hī diid hai ai umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
ye jahāñ kitnā hasīñ hai ye jahāñ kuchh bhī nahīñ
ye tabassum ye takallum ye tamāshā ye nigah
yuuñ to sab kuchh hai yahāñ aur yahāñ kuchh bhī nahīñ
tere abrū se sivā vo nigah-e-tishna-e-ḳhūñ
tiir jab niklā kamāñ se to kamāñ kuchh bhī nahīñ
umr ke fāsle tai kar na sakā jazba-e-shauq
ḳhūn-e-dil kuchh bhī nahīñ qalb-e-tapāñ kuchh bhī nahīñ
DhūñDhiye chal ke kahīñ umr-e-guzishta kā surāġh
kashtī-e-dil ke liye sail-e-zamāñ kuchh bhī nahīñ
in nazāroñ meñ nazar apnī bhī jānib 'mas.ūd'
vādī-e-gul meñ ba-juz dil kā ziyāñ kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com