mere  gītoñ  meñ  mohabbat  ne  jalā.e  haiñ  charāġh
aur  yahāñ  zulmat-e-zardār  ke  ghere  haiñ  tamām
ai  mire  giit!  kahīñ  aur  hī  chalnā  hogā
tujh  ko  ma.alūm  nahīñ  aadam  o  havvā  kī  zamīñ
apne  nāsūr  ko  parde  meñ  chhupāne  ke  liye
ai  mire  giit!  kahīñ  aur  hī  chalnā  hogā
aa  kahīñ  aur  kisī  desh  ko  DhūñDeñ  chal  kar
ho  jahāñ  bhuuk  na  afkār  ke  pardoñ  pe  muhīt
ai  mire  giit!  kahīñ  aur  hī  chalnā  hogā
ye  bhī  mumkin  hai  ki  jholī  meñ  amal  kī  ik  roz
yaas  kī  ḳhaak  ho  aur  duur  ho  apnī  manzil
ai  mire  giit  kahīñ  aur  hī  chalnā  hogā