Yusuf Zafar

wadi-e-nil

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
jamāl-e-marg-āfrīñ! ye shab merī zindagī hai
nichoḌ de is ke chand lamhoñ kī ishratoñ meñ
mere laboñ ne vo lab bhī chūme haiñ jin meñ marg-e-girāñ nahīñ thī
vo phuul se lab ki jin kī tahdār pattiyoñ meñ
tire tabassum kī lau ubhartī hī jā rahī hai
tujhe nazar aa rahī hai shāyad vo ziist jo laash ban ke taḌpegī
mirā muqaddar ki aaj kī shab hai mujh ko hāsil ye terā paikar
mirā muqaddar ki maiñ ne ḳhud maut ko pukārā hai terī ḳhātir
vo log jo ro rahe haiñ mujh ko
ki maiñ ne ḳhud maut ko pukārā hai terī ḳhātir
thirak rahā hai tirā badan lazzat-e-tarab se
chamak rahī haiñ tirī nigāheñ ḳhumār-e-shab se
Top Urdushayar.com