maiñ  ne  mahsūs  kiyā  hai  to  khulī  haiñ  āñkheñ
maiñ  ne  mahsūs  kiyā  hai  to  jale  haiñ  ye  charāġh
ye  charāġhāñ  ye  chaman  kaise  mile  un  se  najāt
saañs  lene  ko  Thahar  jaao  to  jaadū  kā  hisār
har  taraf  shola-zabāñ  naag  haiñ  phan  jhūmte  haiñ
sar  uThāte  haiñ  na.e  raag  na.ī  rāgniyāñ
paañv  paḌte  haiñ  gale  paḌte  haiñ  anjāne  ḳhayāl
kyā  mire  paas  magar  ek  thakan  ek  umañg
ek  jiine  kī  lagan  ek  mohabbat  kā  lahū
na  añdhere  na  ujāle  se  adāvat  hai  mujhe
raat  hai  din  hai  magar  mujh  ko  to  donoñ  se  hai  kaam
kaam  jhūTā  ho  to  pahchānñe  vaale  bhī  ka.ī
rañg  sachche  bhī  na  hoñ  log  burā  mānte  haiñ
chaltī-phirtī  haiñ  darīchoñ  meñ  ka.ī  tasvīreñ
kyā  karūñ  maiñ  tirī  duniyā  hai  mirī  āñkheñ  haiñ
raat  aur  din  meñ  koī  farq  nahīñ  hai  aisā
maiñ  ne  mahsūs  kiyā  hai  to  khulī  haiñ  āñkheñ
maiñ  ne  mahsūs  kiyā  hai  to  jale  haiñ  ye  charāġh