Mela Ram Wafa

basant ki aamad

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980

phir nazar aatī hai sabze fazā meñ duur tak

aur ḳhushbū se mahaktī haiñ havā.eñ duur tak

haiñ tarannum-rez yaksar shāḳh-o-barg-o-bār aaj

ban gayā hai resha resha tār-e-mausīqār aaj

gulshanoñ meñ haiñ urūsān-e-bahār ārāsta

gulban-o-naḳhl-o-nihāl-o-shāḳhsār ārāsta

har lab-e-jū par haiñ yuuñ sarv-e-ḳhirāmāñ saiñkaḌoñ

goyā shīshe meñ utar aa.ī haiñ pariyāñ saiñkaḌoñ

dahr se ma.adūm jaaḌe ke nishāñ hone lage

har taraf āsār-e-sar-garmī ayaañ hone lage

pattharoñ meñ josh-e-tāsīr-e-numū paidā huā

har rag-e-afsurda meñ taaza lahū paidā huā

ai vafā khulte haiñ tujh par aaj kyā kyā raaz dekh

chal chaman meñ bulbul-o-gul ke niyāz-o-nāz dekh

chhoḌ ġhaflat aur mahv-e-garm-joshī bhī ho

arsa-e-hastī meñ garm-e-tāza-koshī bhī ho

Top Urdushayar.com