Haidar Bayabani

billi ki haDtal

Haidar Bayabani

paapā apnī nannhī puusī kar baiThī haḌtāl suno jī
chūhoñ kī ban aa.ī ghar meñ aayā hai bhauñchāl suno jī
maañg hai pahlī sardī meñ ho sweater aur razā.ī bhī
maañg hai duujī band na rakkho makkhan duudh malā.ī bhī
maañg hai tiijī raat kitchen meñ thoḌā bhī na ujālā ho
maañg hai chauthī sab kuttoñ kā fauran desh-nikālā ho
Top Urdushayar.com