Rahi Masoom Raza

taaruf

Rahi Masoom Raza

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1927-1992
tū ne to mujh ko dekhā hai
raat ke sahrā kā vairāgī
tū ne to mujh ko dekhā hai
maiñ hī havā kā vo jhoñkā huuñ jis ne akasr tere gesū uljhā.e haiñ
aaise har mauqa.a par maiñ ne ye sochā hai
tū ne mujhe pahchān liyā hai
kyā maiñ ab bhī yaad na aayā
tū ne jise ā.īna jaanā vo maiñ hī huuñ
jis ke ruḳhsāroñ par tū ne apne añgāroñ jaise ruḳhsār dhare haiñ
maiñ ne aaise har mauqa.a par ye sochā hai
Top Urdushayar.com