raat  utartī  ga.ī
mujh  ko  ḳhabar  hī  na  thī
kāġhaz-e-be-rañg  meñ  sard-havas-jañg  meñ
sub.h  se  masrūf  log  apnī  chādar  meñ  band
aañkh  khaTaktī  nahīñ
dil  pe  barastī  nahīñ
ḳhushk-hañsī  be-namak  shahr  fazā  meñ  buland
tañg-galī  kī  havā
shaam  ko  chūhoñ  kī  dauḌ
tez-qadam  gurba-e-shāh  jahāñ  kab  jhapaT  legī  kise
kyā  pata
niind  kā  ūñchā  makāñ  raushniyoñ  se  sajā
ham  sab  kī  khiḌkiyāñ  darvāze  band  haiñ
ghar  kī  chhateñ  āhanī
ghar  kī  hifāzat  karo  ghar  kī  hifāzat  karo
raat  utartī  rahe  ham  ko  dikhā.ī  na  de
ham  pe  havā  ilzām  kyuuñ