uTho  ki  vaqt  ḳhatm  ho  gayā
tamāsh-bīnoñ  meñ  tum  āḳhirī  hī  rah  ga.e  ho
ab  chalo
yahāñ  se  āsmān  tak  tamām  shahr  chādareñ  lapeT  lī  ga.iiñ
zamīn  sañg-reza  saḳht
daañt  sī  safed  malgajī  dikhā.ī  de  rahī  hai  har  taraf
tumheñ  jahāñ  gumān-e-sabza  thā
vo  jhalak  rahī  hai  kohna  kāġhazoñ  kī  barf
vo  jo  chale  ga.e  unheñ  to  iḳhtitāmiye  ke  sab  siyāh  manzaroñ  kā  ilm  thā
vo  pahle  aa.e  the  isī  liye  vo  aqalmand  the  tumheñ
to  sub.h  kā  pata  na  shaam  kī  ḳhabar  tumheñ  to
itnā  bhī  pata  nahīñ  ki  khel  ḳhatm  ho  to  us  ko  shaam
kahte  haiñ  ai  nanhe  shā.iqān-e-raqs
ab  gharoñ  ko  jaao