ye  surma.ī  sī  shaam
ragoñ  meñ  jis  kī  dauḌtā  hai  ḳhuuñ  shafaq  ke  lāla-zār  kā
ye  āsmāñ  kī  samt  muñh  uThā  ke  kis  ko  yaad  kartī  hai
ye  misl-e-dāġh  lāla-e-chaman
to  kyā  use  bhī  hai  ḳhabar  ki  āñsuoñ  kī  raushnī
charāġh-e-roz-o-shab  se  shoḳh-tar
ye  dhīre  dhīre  uTh  ke  āsmāñ
pe  nasha  kī  tarah  se  chhā.ī  jaatī  hai
siyāhiyoñ  meñ  surḳhiyoñ
siyāhiyoñ  meñ  raushnī
to  uñgliyoñ  se  paañv  kī  kamar  talak
kamar  se  tā-ba-rū-e-ambarīñ
ye  tujh  se  kis  ne  kah  diyā  ki  dāman-e-chaman
meñ  āftāb  ko