añdherī  shab  ke  sharmīle  mo.attar  kaan  meñ  us  ne  kahā  vo  shaḳhs
duur  uftāda  lekin  mere  dil  kī  tarah  raushan  hai
jo  mere  paañv  ke  talve  hathelī  ke  gulābī  gaal  meñ
kāñTā  sā  chubhtā  hai
jo  mere  jism  kī  khetī  pe  bārish  kā  chhalāvā  hai
vo  jis  kī  aañkh  kī  qātil
havas  ik  muntazir  lekin  na  zāhir  hone  vaale  phuul  kī  mānind
bechainī  meñ  rakhtī  hai  mujhe  vo
aane  vaalā  hai
magar  vo  shaḳhs  is  shab  bhī  nahīñ  aayā
bhalā  TuuTī  kalā.ī  se
vo  saare  ḳhvāb  sab  vaade  mulāqātoñ  ke  paimāne
kahāñ  sambhleñ
bhalā  be-nūr  āñkhoñ  meñ  vo  sūrat
jham  jhamātī  tund  josh-e-ḳhūn  se  garmi-e-lab  tak  tamtamātī
kis  tarah  ruktī
añdherī  raat  ne
dekhā  na  kuchh  sunñā  hī  chāhā  us  ke  gosh-e-nāzuk  aur  chashm-e-siyah  māsūm  hote  haiñ