sard  maidānoñ  pe  shabnam  saḳht
sukḌī  sha-rāhoñ  munjamid  galiyoñ  pe
jaalā  niiñd  kā
masrūf  logoñ  be-irāda  ghūmte  āvāra
kā  hujūm  be-dimāġh  ab  tham  gayā  hai
ranDiyoñ  zanḳhoñ  uchakkoñ  jeb  katroñ  lūtiyoñ
kī  fauj  istimāl  karda  jism  ke  mānind  Dhīlī
paḌ  ga.ī  hai
sansanātī  raushnī  havāoñ  kī  phisaltī
god  meñ  chup
ūñghtī  hai  farsh  aur  dīvār  o  dar
fuT  paath
khambe
dhundlī  mehrābeñ
dukānoñ  ke  siyah  vīrān-zīne
sab  ke  nañge  jism  meñ  shab
nam  havā  kī  sūiyāñ  be-ḳhauf
utartī  kūdtī  dhūmeñ  machātī  haiñ
kuchh  shikasta  taḳhtoñ  ke  pīchhe  ka.ī
māsūm  jāneñ  haiñ
ḳhvāb  kam-ḳhvābī  meñ  larzāñ
baal  o  par  meñ  sard-nishtar
baañs  kī  halkī  akahrī  be-hifāzat
Tokarī  meñ
darjanoñ  majbūr  taa.ir
zer-e-par  minqār  muñh  Dhāñpe  ḳhamoshī  ke  samundar-e-be-nishāñ  meñ
ġharq  bāzū-basta  chup
maḳhlūq  ḳhudā  jo  gol  kaalī  gahrī  āñkhoñ  ke
na  jaane  kaun  se  manzar  meñ  gum  hai