ab  shor  thamā  to  maiñ  ne  jaanā
aadhī  ke  qarīb  ro  chukī  hai
shab  gard  ko  ashk  dho  chukī  hai
chādar  kaalī  ḳhalā  kī  mujh  par
bhārī  hai  misl-e-maut  shahpar
hai  saañs  ko  rukne  kā  bahāna
tasbīh  se  TūTtā  hai  daana
maiñ  nuqta-e-haqīr  āsmānī
be-fasl  hai  be-zamāñ  hai  tū  bhī
kahtī  hai  ye  falsafa-tarāzī
lekin  ye  sansanātī  vus.at
itnī  be-harf  o  be-muravvat
āmāda-e-harb-e-lā-zamānī
dushman  kī  ajnabī  nishānī