go  raat  kī  jabīñ  se  siyāhī  na  dhul  sakī
lekin  mirā  charāġh  barābar  jalā  kiyā
jis  se  diloñ  meñ  ab  bhī  harārat  kī  hai  numūd
barsoñ  mirī  lahad  se  vo  sho.ala  uThā  kiyā
phīkā  hai  jis  ke  sāmne  aks-e-jamāl-e-yār
azm-e-javāñ  ko  maiñ  ne  vo  ġhāza  atā  kiyā
mere  lahū  kī  buuñd  meñ  ġhaltāñ  thiiñ  bijliyāñ
ḳhāk-e-dakan  ko  maiñ  ne  sharar-āshnā  kiyā
sāhil  kī  aañkh  meñ  magar  aa.ī  na  kuchh  kamī
dariyā  meñ  laakh  laakh  talātum  huā  kiyā
ḳhvāb-e-girāñ  se  ġhunchoñ  kī  āñkheñ  na  khul  sakīñ
go  shāḳh-e-gul  se  naġhma  barābar  uThā  kiyā
ye  bazm  aisī  soī  ki  jaagī  na  aaj  tak
fitrat  kā  kārvāñ  hai  ki  aage  baḌhā  kiyā
maarā  huā  huuñ  go  ḳhalish-e-intizār  kā
mushtāq  aaj  bhī  huuñ  payām-e-bahār  kā