Saghar Nizami

ai subh-e-watan

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
ai rūh-e-bahār ai jān-e-chaman
ai mutrib yā ai sāqī-e-man
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
le josh-e-junūñ kī zarboñ ne zanjīr-e-ġhulāmī toḌ hī dī
jamhūr ke sañgīñ panje ne shāhī kī kalā.ī moḌ hī dī
tārīḳh ke ḳhūnīñ hāthoñ se chhīnā hai tirā sīmīñ dāman
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
phir lauT ke aayā sadiyoñ meñ iqbāl-o-tarab kā sayyāra
kirnoñ meñ ufuq par phir chamkā pastī ke añdheroñ kā maarā
hairāñ hairāñ nāzāñ nāzāñ ḳhandāñ ḳhandāñ raushan raushan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
dhartī ke tabassum se chamke āfāq-e-abad ke sayyāre
zulmat ke tarannum se phūTe nūr-e-abadiyyat ke dhāre
zarroñ ko taġhayyur ne baḳhshā ik mo.ajiza-e-ḳhurshīd-shikan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
so.e hue zarre jaag uThe anvār-e-sahar bedār hue
ehsās-e-zamīñ bedār huā afkār-e-bashar bedār hue
bistar se ḳhazaf reze uTThe aur la.al-o-gohar bedār hue
āñkhoñ ko milā gulzāroñ ne shāḳhoñ par samar bedār hue
nainoñ se mastī barsātī lo jaag uThī hastī kī dūlhan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
banjar dhartī kī nas nas meñ paudoñ kā taḳhayyul lahrāyā
ujḌe khetoñ par saaya hai gehūñ ke sunahrī ḳhoshoñ kā
har barg-e-fasurda ne khīñchā doshīza bahāroñ kā dāman
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
sunsān bayābānoñ meñ hai ik jazba-e-gulshan-ārā.ī
vīrāñ khañDaroñ meñ letā hai mahloñ kā tasavvur añgḌā.ī
siipī kī rū-pahlī jholī meñ haiñ aaj hazāroñ durr-e-adan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
zarrāt meñ karvaT lene lage so lāla-ruḳhsān-o-māh-e-jabīñ
sañgīn chaTānoñ meñ jaage asnām ke ḳhadd-o-ḳhāl-e-hasīñ
hai dair ki ka.aba kyā jaane hai kaun sā aalam zer-e-zamīñ
masjūd nahīñ hai koī bhī sajde meñ magar jhuktī hai jabīñ
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan

aahan kī salābat meñ ubhrā ma.asūm tasavvur narmī kā
phūloñ kī latāfat meñ umDā aahan ban jaane kā jazba
qarnoñ kī ḳhamoshī ko hasrat hai sail-e-bayāñ ban jaane kā
sadiyoñ kī udāsī ko zid hai ik nutq-e-javāñ ban jaane kā
har saañs ke andar ġhaltāñ hai taġh.īr ke siine kī dhaḌkan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
parbat parbat sāgar sāgar parcham apnā lahrātā hai
mahloñ pe miloñ pe qiloñ par azmat ke tarāne gaatā hai
gul-bār ridā-e-āzādī sarshār javānī kā parcham
ye amn ke naġhmoñ kā mutrib ḳhāmosh baġhāvat kā ye alam
tahzīb kā ye zarrīñ āñchal ta.amīr kā ye rañgīñ dāman
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
qindīl-e-sahar nūr-e-manzil ḳhurshīd-e-sahar sham-e-sāhil
ye ḳhūn-e-shahīdāñ kā maḳhzan ye dard-e-rafīqāñ kā hāsil
ye amn kā lahrātā gesū ye sidq-o-mohabbat kā darpan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
ab khetoñ meñ gandum hī nahīñ sonā bhī ugegā ai saaqī
baḳhshegā taġhayyur bhūkoñ ko ik roz mizāj-e-zarrātī
ab hiire motī ugleñge ye bāġh-o-sahrā koh-o-daman
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
aur tere ufuq kī laalī se hote haiñ sitāre bhī raushan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
ab ḳhaak qadam majbūroñ kī barsā.egī duniyā par sonā
ab atlas kī qismat hogī pairāhan-e-mehnat-kash honā
paḌte hī nigāh-e-sā.iqa-e-zan jal uTThegā har nazm-e-kuhan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
khetoñ kī zamīñ ūñchī ho kar firdaus se rishta joḌegī
ab hal kī anī sarmastī meñ ākāsh ke taare toḌegī
vo din bhī ab kuchh duur nahīñ jab sayyāre hoñge āñgan
ai sub.h-e-vatan ai sub.h-e-vatan
Top Urdushayar.com