Nisar Kubra

zaban-e-urdu

Nisar Kubra

jahāñ pahoñche hindostānī vahāñ pahuñchī zabāñ urdu

murkkab har zabāñ se ban ga.ī shīrīñ zabāñ urdu

nikal kar hind se pahuñchī ye america aur africa

samajh lete haiñ har mulkoñ ke bāshinde zabāñ urdu

ga.ī ye chīn-o-jāpān aur ga.ī europe ke mulkoñ meñ

rahā jo chand din hind meñ huī us zabāñ urdu

samundar paar ho kar ye ga.ī sahrā-nashīnoñ meñ

hamārī hai bahut āsān aur shīrīñ zabāñ urdu

na pūchho us vus.at ko kahāñ se hai kahāñ pahuñchī

taraqqī ḳhud-baḳhud ye karne vaalī hai zabāñ urdu

palī hai pyār-o-ulfat meñ ye hindū aur musalmāñ ke

to phir kyuuñ ḳhaar ho nazroñ meñ ye pyārī zabāñ urdu

miTānā chāhiye us ko na nafrat aur ġhaflat se

nishānī ulfat-o-millat hai be-shak zabāñ urdu

Top Urdushayar.com