apne  muñh  se  kah  rahī  hai  saaf  urdu  kī  zabāñ
maulid-o-māvā  hai  merā  kishvar-e-hindostāñ
muddatoñ  sarkār-e-dehlī  meñ  rahī  ye  bāryāb
ab  tak  urdu-e-muallā  hai  vahī  shāhī  ḳhitāb
tajribe  kī  aañkh  se  dekhā  jo  is  ko  honhār
company  ne  kar  liyā  apnā  sharīk-e-kārobār
fārsī  hindī  kī  āmezish  se  hai  is  kā  vajūd
yādgār-e-ittihād-e-ahl-e-islām-o-hanūd
thī  mah-e-nau  rafta  rafta  māh-e-kāmil  ban  ga.ī
shā.irāna  mahfiloñ  meñ  sham-e-mahfil  ban  ga.ī
khīñch  do  uTh  kar  qavā.id  se  hisār-e-āfiyat
mil  ke  sab  tayyār  kar  do  jāma.a  o  maan.e  luġhat
har  zabāñ  kā  lafz  khap  jaa.e  ye  vus.at  is  meñ  hai
har  luġhat  ke  jazb  kar  lene  kī  tāqat  is  meñ  hai